Tuesday, October 24, 2017

MAAZI KE GHULAM | June, 2012


Unhe gharoor he apni khamoshi par
toh hum bhi kuch na keh kar chal diye...
unhe naaz he apni khush dili par
toh hum bhi muskura diye
ye baat un dino ki he,
jab hasne me magroor the hum
ab woh baat nahi na himmat he,
bas taqdeer pe hi inhisaar
talaash karte he masle ka hal
nikle he lekar chirag joh roshan..
dil me dard he, yun na samajhna
hum toh he qalm ke ghulam..
ibadat karte he ab din raat
mazdoor hi sahi, he tumhari bhi ehmiyat khaas
is dil me jagah he kayam
lekin he hum haalat ke ghulam..
humarai nazm ko ikraar mat samajhna
ye toh he humara andaaz
daira ufaq bhi zareen he..
ye pal gumshuda..
hume yakeen he humari awaz sunai di
warna kyun dilchaspi se uda rahe aap mazaak..

No comments:

Post a Comment